Saturday, November 25, 2006

Poetry: Koshish Karne Waalon Ki Kabhi Haar Nahin Hoti


Today I am in a poetic mood. So here's a beautiful poem by Harivansh Rai Bacchhan....


==========================================
Lehron se Darkar naukaa paar nahi hoti
Koshish karne waalon ki kabhi haar nahi hoti

Nanhi cheenti daana lekar chalti hai
chadhti hai deevaar par sau baar fisalti hai
Man kaa vishwaas ragon me saahas bharta hai
chadhkar girna, girkar chadhna nahi akharta hai
mehnat uski bekaar har baar nahi hoti
koshish karne waalon ki kabhi haar nahi hoti

Dubkiyan sindhoo me gotaakhor lagata hai
jaa jaakar khaali haath lautkar aata hai
milte na sahaj hi moti gehre paani me
badhta doona vishwaas isi hairaani me
mutthi uski khaali harbaar nahi hoti
koshish karne waalon ki kabhi haar nahi hoti

Asafalta ek chunauti hai sweekar karo
kya kami reh gayi hai dekho aur sudhaar karo
jab tak naa safal hon chain neend ko tyago tumm...
Koshish karne walaon ki kabhi haar nahi hoti.................

--Harivansh Rai Bacchhan


==========================================

No comments: